Woh aksar mujh se
kehti thi,
Wafa hai zaat aurat ki,
Magar jo mard hote
hain,
Bohat be’dard hote hain,
Kisi bhanwre ki surat,
Gul ki khushbu loot jate
hain,
Suno, tum ko kasam
meri,
Riwayat torr dena tum,
Na tanha chorr ke jana,
Na yeh dil torr ke jana,
Magar phir yu’n hua ik
din,
Mujhe anjaan raste per,
Akela chorr kar usne,
Mera dil torr kar usne,
Mohabbat chorr di usne,
Wafaa hai zaat aurat ki,
Riwayat torr di us ne..!!
No comments:
Post a Comment